wo aarzu ki dilon ko udas chhod gai meri zaban pe sukhan ki mithas chhod gai likhi gai hai meri subh ke muqaddar mein wo raushni jo kiran ka libas chhod gai uthi thi mauj jo mahtab ke kinare se zamin ke gird falak ki asas chhod gai ye kis maqam-e-tamanna se be-khudi guzri ye kis ka nam pas-e-iltimas chhod gai charagh-e-zist se utri thi ek harf ki lau jilau mein apni mera iqtibas chhod gai guzar gai hai ufuq se sipah-e-shab lekin jawar-e-subh mein khauf-o-hiras chhod gai ghata uthi thi kisi tishnagi ke sahra se jo qatra qatra samundar ki pyas chhod gai meri khamosh-labi mujh mein raat bhar gunji sadaen kitni mere aas-pas chhod gai ye kis khayal ki parchhain thi munderon par tamam shahr ko mahw-e-qayas chhod gai basi jo aa ke zamin mein 'samad' shanakht meri mere badan mein saja kar hawas chhod gai