teri yaaden hain aur tanhaiyan hain ghazab ki anjuman-araiyan hain kahan hum aur kahan ye lazzat-e-gham ye sab teri karam-farmaiyan hain mahakti hai teri sanson ki khushbu jahan tak ruh ki gahraiyan hain main rah-e-shauq mein tanha nahin hun mere hamrah kuchh parchhaiyan hain sar-e-sham aaj kyon nind aa rahi hai ye kis ki yaad ki purwaiyan hain ab is ehsas ko kya nam dije bhari mahfil hai aur tanhaiyan hain wahan tute hue dil bhi milenge jahan bhi anjuman-araiyan hain kabhi dekha tha hum ne 'shan' un ko mata-e-dil wahi ranaiyan hain