pahunch kar shab ki sarhad par ujala dub jata hai na ho jis ka koi wo be-sahaara dub jata hai jise gata hai koi barabt-e-sad-chaak-daman par faza-e-be-yaqini mein wo naghma dub jata hai yahan to dil ki baaten hain hamara tajraba hai ye jo sath-e-ab par rakhiye to paisa dub jata hai talluq der se mazbut karta hai jaden apni zara si chuk se sadiyon ka rishta dub jata hai teri yaadon ki duniya se kabhi jo dur hota hun udasi gher leti hai nazara dub jata hai na jaane kya ho tere shahr mein ab ja ke dekhunga yahan to apni qismat ka sitara dub jata hai ubal padta hai aafat ka kahin lawa to phir 'anjum' gham-o-andoh mein masum chehra dub jata hai