sula kar tez dhaaron ko kinaro tum na so jaana rawani zindagani hai to dhaaro tum na so jaana mujhe tum ko sunani hai mukammal dastan apni adhuri dastan sun kar sitaro tum na so jaana tumhaare daere mein zindagi mahfuz rahti hai nizam-e-bazm-e-hasti ke hisaro tum na so jaana tumhin se jagta hai dil mein ehsas-e-rawa-dari qayam-e-rabt-e-baham ke sahaaro tum na so jaana agar nind aa gai tum ko to chashme sukh jaenge kabhi ghaflat mein pad kar kohsaro tum na so jaana tumhin se bahr-e-hasti mein rawan hai kashti-e-hasti agar sahil bhi so jaen to dhaaro tum na so jaana sada-e-dard ki khatir tumhein 'kausar' ne chheda hai shikasta-saz ke bedar taro tum na so jaana