ru bhi aks-e-ru bhi main main bhi main hun tu bhi main khud se bach kar jaun kahan hun goya har su bhi main le kar rukh par itne kalank lagta hun khush-ru bhi main shamil-e-mai paimana bhar pita hun aansu bhi main sadqe main un aankhon ke sikh gaya jadu bhi main us ki bazm-e-naz se dur us ke ham-pahlu bhi main did se be-parwa ho kar shauq se be-qabu bhi main bair hi rakhta mujh se sanam hota gar hindu bhi main wae tilism-e-naqsh-e-farang bhul gaya urdu bhi main qael khud bhi hun 'haqqi' shaghil-e-illa-hu bhi main