ya-rab aabaad howen ghar sab ke

ya-rab aabaad howen ghar sab ke
phiren khat le ke nama-bar sab ke

kis ki mizhgan hain ki sinon mein
yak-ba-yak chhin gae jigar sab ke

shab ki shab gul chaman ke hain mehman
barg jhad jaenge sahar sab ke

ek aashiq pe iltifat na kar
haal par rakh miyan nazar sab ke

dijo paigham hi mera qasid
le chala hai tu khat agar sab ke

jitne hain gird-o-pesh ham-sae
ghar duboegi chashm-e-tar sab ke

hum rahe pichhe wae garm rawan
pahunche manzil pe peshtar sab ke

mere soz-e-junun ki dahshat se
band rahte hain din ko ghar sab ke

dil hi apna hai chini-e-mu-dar
hisse aae na wo kamar sab ke

hath uthte the pitne ke liye
tere kushte ki lash par sab ke

gar yahi hai rasai-e-sayyaad
ek din bandhega ye par sab ke

kya dikhawe safai taba meri
jis jagah hun khazaf guhar sab ke

dosti kar dila na in se ki hain
dushman-e-jaan ye sim-bar sab ke

the jo sultan-e-bahr-o-bar aakhir
gae barbaad taj-e-zar sab ke

wae duniya ki rulte phirte hain
khak mein kasa-ha-e-sar sab ke

'mushafi' ye jo hain amir o faqir
dil mein hai maut ka khatar sab ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close