sar takraen jis se wo diwar kahan jism kahan aur ruh ka ye aazar kahan tanhai ka kab ye aalam tha pahle chhut gae hain mujh se mere yar kahan andhe shahar ke sab aaine andhe hain aise mein khud apna bhi didar kahan tuti tuti chand shabihen baqi hain dil mein ab yaadon ka wo ambar kahan mere andar mujh se ladta hai koi is paikar mein jit kahan aur haar kahan ruh do-nim aur jism bhi hai reza reza khak udata phirta hai pindar kahan kyun ye kashti dol rahi hai lahron par tuta hai is kashti ka patwar kahan