paikar-e-lala-o-gul hai use patthar na kaho wo hai mahbub mera us ko sitamgar na kaho ye to sach hai ki khuda ne hai diya sabr mujhe phir bhi ayyub nahin mujh ko payambar na kaho apni takhliq ko becha nahin karte fankar but-faroshon ko kabhi bhul ke aazar na kaho muntashir sadiyon se hain tar-e-gareban ki tarah hum hain auraq-e-pareshan hamein daftar na kaho dosto kuchh to kaho taki main khud ko jaanun mujh ko bad-tar hi kaho gar mujhe behtar na kaho wo to pagal hai jise kahte hain sab log 'umar' aise diwane ko dana-o-qalandar na kaho