pak baatin ka kya kare koi By Ghazal << raat-din kashmakash-e-zul... nahin kaam aati mohabbat ... >> pak baatin ka kya kare koi dushman apna hua kare koi jaan se jo aziz hain un se na juda ho khuda kare koi ghair ke nek-o-bad se kya matlab apni dhun mein raha kare koi sair-e-bagh-e-jahan mein ai 'saifi' chashm-e-ibrat ko wa kare koi Share on: