raat-din kashmakash-e-zulf-e-duta mein hun main

raat-din kashmakash-e-zulf-e-duta mein hun main
hae kis pech mein aafat mein bala mein hun main

subh hote hi nikal chalne ka saman kiya
raat bhar ke liye is kohna-sara mein hun main

hosh aae hain budhape mein jawani to gai
subh ka waqt hai aur yaad-e-khuda mein hun main

hae kis munh se ho qismat ke bigadne ka gila
apne afaal-e-kamina ki saza mein hun main

bahut aasan tha ek ek khata ka karna
sab ki ab fikr hai aur dast-e-qaza mein hun main

be-takalluf wahi karta hai jo dil chahe hai
fikr meri na karo tum fuqara mein hun main

baat jo bas gai dil mein wo nikalti kab hai
chhediye mujh ko na 'saifi' juhla mein hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close