sar-e-waraq pe likha intiqam hai shayad isi bayaz mein mera bhi nam hai shayad kaha jo main ne ki kuchh ehtijaj hai barpa to bole zill-e-ilahi awam hai shayad uthe jo hath dua ko badal gae manzar khuda se mera yaqin ham-kalam hai shayad main aaun tum ko na dekhun to phir palat jaun tumhaari samt se ye intizam hai shayad ye aab-o-gil ye shajar aasman ye suraj kisi ke aane ka ye ehtimam hai shayad jami hui hai nazar aaj tum pe saqi ki tumhaare hisse ka gardish mein jam hai shayad namaz-e-fazr mein masjid mein kyun hai sannata namazi koi nahin bas imam hai shayad