pal mein jahan ko dekhte mere Dubo chuka

pal mein jahan ko dekhte mere dubo chuka
ek waqt mein ye dida bhi tufan ro chuka

afsos mere murde par itna na kar ki ab
pachhtana yun hi sa hai jo hona tha ho chuka

lagti nahin palak se palak intizar mein
aankhen agar yahi hain to bhar nind so chuka

yak chashmak-e-pyala hai saqi bahaar-e-umr
jhapki lagi ki dur ye aakhir hi ho chuka

mumkin nahin ki gul kare waisi shaguftagi
us sarzamin mein tukhm-e-mohabbat main bo chuka

paya na dil bahaya hua sail-e-ashk ka
main panja-e-mizha se samundar bilo chuka

har subh hadse se ye kahta hai aasman
de jam-e-khun 'mir' ko gar munh wo dho chuka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close