ya-rab meri us but se mulaqat kahin ho jis baat ko ji chahe hai wo baat kahin ho gar qurb-e-sukhan us se nahin dur se ai kash nazron hi mein tuk harf-o-hikayat kahin ho phirta hai hasinon se bahut aankhen ladata darta hun na dil masdar-e-afat kahin ho hote hue dushman ke kahun kyun ke mein kuchh baat majlis se teri dafa ye bad-zat kahin ho kaghaz pe shab o roz teri khinchun hun taswir yani isi surat basar-auqat kahin ho hai aaj ki shab wada-e-wasl us ka mere sath ya-rab ki shitabi se ye din raat kahin ho de dalo dil-e-'mushafi' tum warna meri jaan ruswai hai wo tum pe gar isbaat kahin ho