palkon pe the para-e-jigar raat hum aankhon mein le gae basar raat ek din to wafa bhi karte wada guzri hai umid-war har raat mukhde se uthain un ne zulfen jaana bhi na hum gai kidhar raat tu pas nahin hua to rote rah rah gai hai pahar pahar raat kya din the ki khun tha jigar mein ro uthte the baith dopahar raat wan tum to banate hi rahe zulf aashiq ki bhi yan gai guzar raat saqi ke jo aane ki khabar thi guzri hamein sari be-khabar raat kya soz-e-jigar kahun main hamdam aaya jo sukhan zaban par raat sohbat ye rahi ki sham-rawi le sham se ta-dam-e-sahar raat khulti hai jab aankh shab ko tujh bin katti nahin aati phir nazar raat din wasl ka yun kata kahe tu kati hai judai ki magar raat kal thi shab-e-wasl ek ada par us ki gae hote hum tu mar raat jage the hamare bakht-e-khufta pahuncha tha baham wo apne ghar raat karne laga pusht-e-chashm-e-nazuk sote se utha jo chaunk kar raat thi subh jo munh ko khol deta har-chand ki tab thi ek pahar raat par zulfon mein munh chhapa ke puchha ab howegi 'mir' kis qadar raat