ye aankhen hain to sar kata kar rahengi kisu se hamein yan lada kar rahengi agar ye nigahen hain kam-bakht apni to kuchh hum ko tohmat laga kar rahengi ye saffakiyan hain to jun murgh-e-bismil hamein khak o khun mein mila kar rahengi kiya hum ne malum nazron se teri ki nazren tari hum ko kha kar rahengi ye aaen hain to ek din aasman ko jala kar khapa kar uda kar rahengi agar gardishen aasman ki yahi hain to hum ko bhi gardish mein la kar rahengi ye aankhen hain to ek din 'mushafi' ko nigahon ke andar fana kar rahengi