pamal-e-rah-e-ishq hain khilqat ki kha thokar bhi hum jun shisha nazuk-tar the kya sakhti mein hain patthar bhi hum aaina dil ka saf kar kahlae saiqal-gar bhi hum apne siwa dekhen kise andar bhi hum bahar bhi hum jaan-bar ho un se kyunki dil kahti hain palken yar ki neza bhi hum nawak bhi hum barchhi bhi hum khanjar bhi hum ashkon ki daulat kyun na ho sultan-e-aqlim-e-junun rakhte hain sath apne sada ladkon ka ek lashkar bhi hum chunwa ke abru mujh se kya wo hans ke farmane lage is tegh ke dam le sada dikhlaenge jauhar bhi hum kya khak kije mai-kashi ai saqi-e-gulfam aa giryan hain misl-e-abr kya jun barq hain muztar bhi hum kahte hain wo pan-khurda-lab yaqut ke tukde to the kahlae lekin aaj se barg-e-gul-e-ahmar bhi hum ai shokh danton ka tere yan ye tasawwur hai bandha din raat chashm-e-tar se yan barsate hain gauhar bhi hum rakhte to hain girdab-e-yam par dar hai ye ai chashm-e-tar girdab-e-dariya ki tarah khate hain yan chakkar bhi hum jo chahe kar jaur-o-jafa par dil ka mohr-e-dagh se roz-e-qayamat kosna dikhlaenge mahzar bhi hum qad se 'nasir' us ke sada ek shor-e-mahshar hai bapa chhute azab-e-qabr se kya khak yan mar kar bhi hum