talash-e-rizq mein diwan karta rahta hun abhi safar nahin saman karta rahta hun khud apni rah mein aksar pahad ugata hun khud apni mushkilen aasan karta rahta hun sajata rahta hun kaghaz ke phul shakhon par main titliyon ko pareshan karta rahta hun main tukhm-e-ashk se tufan ugane ki zid mein tamam-shahr ko hairan karta rahta hun mere makan mein dhuan bhi ghutan bhi hai lekin main khushbuon ko bhi mehman karta rahta hun