wasl mein bigde bane yar ke aksar gesu uljhe suljhe meri taqdir se shab bhar gesu main na manunga ye zulmat use kis din ho nasib ho gae honge sharik shab-e-mahshar gesu kahne sunne se agar wasl hua bhi to kya zid se baithe wo banaya kiye shab bhar gesu chahte hain ki pareshan pas-e-murdan bhi rahun khol dete hain meri gor par aa kar gesu ud chala aur bhi wo rashk-e-pari-zadan se ban gae husn ke parwaz ko shahpar gesu aarzu hai ki shab-e-qadr ho ya sham-e-ummid kuchh dikhae na khuda tere dikha kar gesu ye bhi taqdir ke hain pech wagarna 'taslim' mujh sa aazad ho paband-e-moambar gesu