jaan-bazon ke lab par bhi ab aish ka nam aaya jis hath mein tesha tha us hath mein jam aaya ek taza taghayyur hai tahzib ki duniya mein ya husn-e-haqiqi ko andaz-e-khiram aaya rahat ka tasawwur hi baqi na raha shayad honton pe takalluf se aaram ka nam aaya kuchh soch ke ek rah-e-pur-khar se guzra tha kante bhi na ras aae daman bhi na kaam aaya saqi ye harifon ko pahchan ke dena kya jab bazm se hum nikle tab daur mein jam aaya is tira-nasibi mein kirnon ka sahaara kya suraj ki taraf dekha wo bhi lab-e-baam aaya ye raaz-o-niyaz-e-gham kuchh wo bhi samajhte hain jab chot padi dil par palkon ko salam aaya gham aur khushi donon har roz ke mehman hain ye subh-ba-subh aai wo sham-ba-sham aaya phenke hue shishon se dil kitne banae hain jab jam koi tuta diwanon ke kaam aaya kanon mein kuchh aati hai aawaz phadakne ki phir koi naya tair shayad tah-e-dam aaya ashaar-e-'nushur' aksar un ki bhi zaban par hain chup rah na saka koi jab waqt-e-kalam aaya