pani mein agar aks ki haalat mein bahun main

pani mein agar aks ki haalat mein bahun main
mumkin hai kinare ka kinara hi rahun main

ai khama-gar-e-waqt mujhe izn-e-sukhan de
tujh se teri rifat ke tawassul se malun main

chalti hui baaton mein use kaam pade yaad
thahre hue lafzon mein ijazat ka kahun main

binai ko tarsi hui be-rangi ke dar par
aankhon ki asiri mein likhi nazm padhun main

aawazon ke jathe mein tera lahja parakhte
khamoshi se phaili hui khamoshi sunun main

jangal si pur-asrar khamoshi liye 'arish'
jharne ki tarah shor machata bhi rahun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close