rah gaya khwab-e-dil-aram adhura kis ka dhal gai shab to khula hai ye daricha kis ka lamha lamha mujhe viran kiye deta hai bas gaya mere tasawwur mein ye chehra kis ka aazmaish ki ghadi hai sar-e-maqtal dekhen zer-e-khanjar wahi rahta hai irada kis ka ye jo bedar bhi hain soe hue bhi in mein sham kis ki hai khuda jaane sawera kis ka rah-raw-e-akhir-e-shab hain sabhi uktae hue kaun kab tak hai yahan sath bharosa kis ka mere qatil ke tajassus mein bhatakne walo khun aalud hai basti mein pasina kis ka aaina-khana do-alam ko bana kar ai 'dil' muntazir baitha hai warafta-o-shaida kis ka