pila raha hai zamin ko yahan lahu koi aur magar hain phul kisi ke hai surkh-ru koi aur teri talab thi so hum dar tak chale aae ab aarzu koi baqi na justuju koi aur ye ittifaq nahin hai ki qatl ho jae teri kahani mein mujh sa hi hu-ba-hu koi aur hamesha banti hui baat ko bigadte hain kabhi kabhi to main khud hi kabhu kabhu koi aur kamal-e-wahdat-o-kasrat main roz dekhta hun ki tu hi to mere andar hai chaar-su koi aur main apne aap se khud jitta hun haarta hun nahin hai mere alawa mera adu koi aur ye shairi mein hai yakta mukhalifat mein wo taq na aur koi 'yagana' na lucknow koi aur jahan-e-hasil-e-kun thik hai magar 'tariq' mujhe banani hai duniya-e-rang-o-bu koi aur