raat jhatke se meri nind khuli tut gai kanch ki chiz thi table se giri tut gai shoabada-baz ne ghaeb kiya manzar se mujhe be-ghari chhut gai aur chhadi tut gai khamushi nam ki ek shai hai mere sine mein tu mujhe hath laga dekh abhi tut gai qahqaha daimi tha mera mere pas raha matami chup jo meri nam ki thi tut gai sans diwar hai jiwan ki bahut khasta mizaj do minute tek lage aur bhali tut gai tum se is waste manus nahin hota main jo koi chiz mujhe achchhi lagi tut gai zindagi tohfa mili jis ko nahin sarf kiya band dabbe mein nai chiz padi tut gai ek zara ranj nahin apni halakat ka mujhe dukh to ye hai teri khamosh rawi tut gai