patte ki tarah tut ke nazron se gira hun har rang se main barsar-e-paikar raha hun mujh ko waraq-e-daftar-e-farsuda na samjho har daur ke diwan ka main naghma-sara hun sadiyon se musallat tha wo ek lamha-e-jawed tanhai-e-shab mein jo kabhi tujh se mila hun ye bhi to mera shewa-e-isa-nafasi hai har jalte badan ke liye main thandi hawa hun har sada waraq paikar-e-fariyaad bana hai diwan ke diwan ko main chat chuka hun ek din to ujalon se gale mil ke rahunga sadiyon se andheron ke ham-aghosh raha hun khurshed ke sahba mein hayat apni dubo kar main gardish-e-ayyam se bhi khel raha hun