us ki surat ka tasawwur dil mein jab late hain hum khud-ba-khud apne se hamdam aap ghabraate hain hum hosh gar rahta ho tujh ko hum se poshida na rakh jab wo yan aata hai ai dil tab kahan jate hain hum baithe baithe kyun yakayak hae dil khoya gaya hamdam is ka kuchh sabab dhunde nahin pate hain hum khud-ba-khud kal shab ko wo bole utha munh se naqab jo na dekha ho kisi ne mujh ko, dikhlate hain hum be-sabab ho kar khafa jab kuchh sunata hai wo shokh ji hi ji mein apne upar hae jhunjhlate hain hum sham ko saqi kabhi aata hai gar tera khayal subh tak bhi hosh mein apne nahin aate hain hum hum ne gham kya khak khaya gham ne hum ko kha liya log ai hamdam samajhte hain ki gham khate hain hum jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum jo kalam-e-ishq ye hargiz samajhta hi nahin dil ko sau sau tarah 'ghamgin' hae samjhate hain hum