yar ne is dil-e-nachiz ko behtar jaana dagh ko phul to qatre ko samundar jaana kat gae dekhte hi hum to teri chashm-e-ghazab jumbish-e-abru-e-khamdar ko khanjar jaana sach hai yaksan hai adam aur wajud-e-duniya aise hone ko na hone ke barabar jaana aankh hum baada-kashon se na mila ai jamshed apne chullu ko tere jam se badh kar jaana kab zamane mein hai mohtaj-e-makan khana-kharab ho gai dil mein kisi ke jo jagah ghar jaana samjhe 'jauhar' ko bura us ki shikayat kya hai wahi achchha hai jise aap ne behtar jaana