waqai koi agar maujud hai phir to ye dukh umr-bhar maujud hai bich ka rasta nahin baqi koi ya khuda hai ya bashar maujud hai us ko pane ki tawaqqo hai bahut jab talak ye chashm-e-tar maujud hai us ke milne hi se pahle jaane kyun us ko kho dene ka dar maujud hai koi manzil kaise tanha sar karen ham-safar mein ham-safar maujud hai aadat-e-khana-kharabi hai 'jamal' warna achchha-khasa ghar maujud hai