qahr ki kyun nigah hai pyare kya mohabbat gunah hai pyare dil ko apni hi jalwa-gah samajh aa nazar farsh-e-rah hai pyare pher li tu ne jab se apni nazar meri duniya siyah hai pyare shak bhi kis par meri mohabbat par jis ka tu khud gawah hai pyare teri masum si nazar ki qasam yahi wajh-e-gunah hai pyare do nigahen jahan pe mil jaen ishq ki shah-rah hai pyare munh jo si deti thi shikayat ka ab kidhar wo nigah hai pyare jo ba-zahir nahin meri jaanib wo nazar be-panah hai pyare sach bata kuchh khafa hai tu mujh se ya haya sadd-e-rah hai pyare ajnabi ban rahi hai teri nazar khatm kya rasm o rah hai pyare rah-e-ulfat mein thaharna kaisa dam bhi lena gunah hai pyare dil si shai aur na-pasand tujhe apni apni nigah hai pyare nek iradon ke sang-rezon par shah-rah-e-gunah hai pyare lab pe aati hai jo hansi ban kar ek aisi bhi aah hai pyare ishq mein wo bhi ek waqt hai jab be-gunahi gunah hai pyare aur 'mulla' ko kya mitate ho wo to yunhi tabah hai pyare