rahm kar zalim mera haal-e-pareshan dekh kar kaun hansta hai kisi ko gham mein giryan dekh kar dastan aao main dardon ki sunaun aap ko baad mere kya karoge mera diwan dekh kar dekhiye aae na aae naz huron ka pasand main chala hun ghaur se andaz-e-khuban dekh kar aap ko karte hue barbaad kyon aaya na rahm aafaten roti hain mere ghar ko viran dekh kar adl ko 'nayab' rakh har kaam mein madd-e-nazar haq ne do aankhen tujhe bakhshi hain mizan dekh kar