zamin pe baith ke be-ikhtiyar dhundhta hun main aasman ka gard-o-ghubar dhundhta hun mujhe pata hai kisi mein ye shai nahin maujud har ek shakhs mein kyun e'tibar dhundhta hun akela baith ke masjid ke ek kone mein kamal karta hun parwardigar dhundhta hun ki aaine mein kai aaine kiye takhliq so ek chehre mein chehre hazar dhundhta hun tumhaari yaad to rakkhi hai jeb mein main ne ye kyun idhar se udhar bar bar dhundhta hun main aise aalam-e-wahshat mein hun ki tanhai pukarti hai mujhe main pukar dhundhta hun mere liye to khat-e-intizar khinchti hai tere liye main khat-e-intizar dhundhta hun