parinde hum ko pedon par dikhai kyon nahin dete kisi bhi shakh par ab ghar dikhai kyon nahin dete na titli hai na shabnam hai na kaliyan hain na ghunche hain bahaaron ke bhala manzar dikhai kyon nahin dete sitare so rahe hain aasman ko god mein thak kar mujhe ab chand ke manzar dikhai kyon nahin dete jahan amn-o-aman ki dewiyan aawaz deti thin ab aise khub-ru mandir dikhai kyon nahin dete sharafat fakhr-e-insan thi kabhi iman-o-rahat thi zamane mein ye ab jauhar dikhai kyon nahin dete piyale kyon mere honton tak aa kar tut jate hain rasile ab yahan saghar dikhai kyon nahin dete riya-kari hai kyon shewa hamare doston ka ab mohabbat ke yahan gauhar dikhai kyon nahin dete jahan insan ki insan se ho dosti 'gulshan' kisi bhi samt aise dar dikhai kyon nahin dete