sar-e-sahra-e-jaan hum chaak-damani bhi karte hain zarurat aa pade to ret ko pani bhi karte hain kabhi dariya utha late hain apni tuti kashti mein kabhi ek qatra-e-shabnam se tughyani bhi karte hain kabhi aisa ki aaankhon mein nahin rakhte hain koi khwab kabhi yun hai ki khwabon ki farawani bhi karte hain hamesha aap ka har hukm sar aaankhon pe rakhte hain magar ye yaad rakhiyega ki man-mani bhi karte hain miyan tum dost ban kar jo hamare sath karte ho wahi sab kuchh hamare dushman-e-jaani bhi karte hain ye kya qatil hain, pahle qatl karte hain mohabbat ka phir us ke baad izhaar-e-pashemani bhi karte hain tujhe tamir kar lena to ek aasan sa fan hai rifaqat ke mahal! hum teri darbani bhi karte hain