parindon ka shajar ko chhoD kar jaana zaruri tha

parindon ka shajar ko chhod kar jaana zaruri tha
ki tair ko khizan ka khauf bhi khana zaruri tha

kahani main sunati roz ek us ko rihai ki
qafas mein qaid dil ko khwab dikhlana zaruri tha

jo hoti itr main to bas hi jati jism mein tere
main thi tulsi mera aangan ko mahkana zaruri tha

hazaron hasraten hain khwahishen hain qaid jab dil mein
mujhe pa kar tera un ko bhi to pana zaruri tha

kiya botal mein dil ko qaid phir phenka samundar mein
mere sine se dil ka dur ho jaana zaruri tha

bata kar dudh jab pani diya tha sath roti ke
yun man ka raat phir bachchon ko bahlana zaruri tha

aziyyat raat khane mein parosi muflisi ke sath
'hiya' ka hausla phir sath mein khana zaruri tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close