zamana dekhta hai hans ke chashm-e-khun-fishan meri magar main khush hun un ki dastan hai aur zaban meri akela hun bhari duniya mein main kis ko kahun apna koi hota to kar deta mukammal dastan meri guzarta aa raha hun jaane mein kin kin maqamon se zamin ke baad aaya rahguzar mein aasman meri main yarab khak ka putla sahi lekin ye kya kam hai hui hai muntakhab hasti barae imtihan meri fana ki manzilon par khatm hain rahen anasir ki yahi ab dekhna hai ruh jati hai kahan meri na jaane silsila jata kahan tak jism-e-khaki ka khuda ka shukr hai had ban gae kaun-o-makan meri zara ai azm-e-dil rukh pher tufan ki hawaon ke su-e-girdab kashti le chali mauj-e-rawan meri zaban par le to aaunga magar dil thamna hoga mujhe malum hai rudad-e-dil hai la-bayan meri kadak kar bijliyan rah jaengi chhat jaenge baadal rahega zindagi ban kar sukun-e-ashiyan meri 'falak' main sar-zamin-e-'dagh'-o-'ghaalib' ka hun ek zarra watan hai shahr-e-dehli zindagi urdu zaban meri