qaid mein bhi hai junun dast-o-gareban hum se aa ke khalwat mein bhi milta hai bayaban hum se qais sauda-e-gham-e-gesu-e-laila ke liye le gaya chand khayalat-e-pareshan hum se ishq mein itna zamana hamein guzra hai ki log puchhte aate hain is dard ka darman hum se koi naqus-o-jaras ki nahin karta fariyaad hum jo nalan hain to har shakhs hai nalan hum se haal ka apne hamein ilm nahin un ko hai raaz rakhte hain hamara bhi wo pinhan hum se qaid-e-gham se hai rihai bahut aasan 'natiq' sharm is ki hai ki wabasta hai zindan hum se