tu hai kis manzil mein tera bol khan hai dil ka thaar dam tera aata hai khan sun bol khan jata hai bhaar dam ke tain bujha so kahte is ke tain insan hai nahin to surat aadmi sirat mein hai misl-e-himar main kahta so kaun hai aur tu samajhta hai kise kyun abas main tu mein pad kar be-abas hota hai khwar rahbar hai kaun tera bol tu kis ka faqir faqr ka kya hasila samjha mujhe mat ho ganwar aashiqan ke bazm mein ek rang ho ai bul-hawas mat kaha bulbul naman chaunda phula kar tajdar bahar ke ghawwas se mat bahs kar ai kham-taba nahin gaya hai umr mein apne tu dariya ke kanar kaj-bahas aata hai karne jang jab ushshaq sun jyun ki tair-e-haft-rangi ho gaya aa kar shikar puchhta aaya hun jo kuchh swal ka mere jawab thartharaata hai abas simab namne be-qarar ta kahe lag jwab tujh par faqr ka luqma haram bazm-e-rindan sun nikal ja jald-tar ho kar farar shor aur ghaugha abas karta hai kyun rang kar libas munh utha jata hai jyun be-qaid shutr-e-be-mahaar ai 'alimullah' na kar kaj-bahas sun swal o jawab hasila tarfain nahin hota ba-juz ghaugha pukar