thoda sa mahaul banana hota hai warna kisi ke sath zamana hota hai sachcha sher sunane wale khatm hue ab to khali khel dikhana hota hai aansu pahli shart hai is samjhaute ki gham to sanson ka jurmana hota hai lal-qile ki diwaron par likhwa do dil sab se mahfuz thikana hota hai duniya mein bhar-mar hai naqli logon ki sau mein koi ek diwana hota hai raat hamare ghar jaldi aa jaya kar hamein sawere kaam pe jaana hota hai aisi koi baat nahin mayusi ki sach mein thoda sa afsana hota hai sab ki apni ek ikai hoti hai sab ka apna ek zamana hota hai hum ne to un ko bhi lutte dekha hai jin ke chaar-qadam par thana hota hai aaj bichhadte waqt mujhe malum hua logon mein ehsas ka khana hota hai