raqs karta hai ba-andaz-e-junun daudta hai dil agar khush ho to chehre pe bhi khun daudta hai kabhi sarsabz hai manzar kabhi be-ab-o-giyah kisht-e-ummid mein ye kaisa fusun daudta hai jazba-e-ishq bahut khak udata hai magar ku-e-jaanan mein ba-andaz-e-sukun daudta hai sirf makhluq-e-khuda par hi to mauquf nahin sina-e-dahr mein bhi soz-e-darun daudta hai khastagi aisi to mujh par kabhi guzri hi na thi ab ke sar-ta-ba-qadam haal-e-zabun daudta hai yaad aati hi nahin khana-kharabi apni mutmain ghar hai ab aangan mein sukun daudta hai kaisi wahshat hai ki dam lene ki fursat bhi nahin jis ko dekho wahi ham-rang-e-junun daudta hai ghaur karta hun to har lamha-e-be-tab yahan jitna main sochta tha us se fuzun daudta hai apni raftar pe nazan bhi hun sharminda bhi razm-gah mein koi be-wajh bhi yun daudta hai aisi virani to dekhi na suni thi 'akhtar' har taraf aalam-e-fani mein sukun daudta hai