mere hi lahu par guzar-auqat karo ho mujh se hi amiron ki tarah baat karo ho din ek sitam ek sitam raat karo ho wo dost ho dushman ko bhi tum mat karo ho hum khak-nashin tum sukhan-ara-e-sar-e-baam pas aa ke milo dur se kya baat karo ho hum ko jo mila hai wo tumhin se to mila hai hum aur bhula den tumhein kya baat karo ho yun to kabhi munh pher ke dekho bhi nahin ho jab waqt pade hai to mudaraat karo ho daman pe koi chhint na khanjar pe koi dagh tum qatl karo ho ki karamat karo ho bakne bhi do 'ajiz' ko jo bole hai bake hai diwana hai diwane se kya baat karo ho