pasti se bulandi par khincha hai sitaron ne sadiyon ke tajassus ne qarnon ke ishaaron ne gharqabi-e-adam ki tarikh murattab ki viran jaziron ne sunsan kinaron ne tarikh ke chehre par jo zakhm nazar aae kuchh aur kiya gahra in waqt ke dhaaron ne har daur mein kin paida aazadi ki tamsilen zanjir ke halqon ne zindan ki dararon ne kin azm-e-tawana ki dil khol ke tarifen patthar ki fasilon ne faulad ke aaron ne shab-khun-o-siyah-kari bad-chalani-o-ayyari suraj ne nahin dekhi dekhi hai sitaron ne ek kaif sa tari hai khulti hi nahin aankhen kuchh aisi pila di hai nau-khez bahaaron ne kya mil ke piyen aur kya sar jod ke hum baithen naqsha hi badal dala saqi ke ishaaron ne un zakhmon se rista hai ai 'mehr' lahu ab tak khae the kabhi patthar jo bakht ke maron ne