shab-e-siyah ka aanchal sarak chuka hai bahut andheri raat mein jugnu chamak chuka hai bahut rais-e-shahr mera aur imtihan na le ki mere sabr ka saghar chhalak chuka hai bahut na kaam aaegi ab sham-e-dil ki tabani talluqat ka shoala bhadak chuka hai bahut chale bhi aao ki mil kar manaen jashn-e-bahaar hamare shauq ka ghuncha chatak chuka hai bahut tumhaare rishte ki ab parwarish nahin mumkin ki mere dil mein ye kanta khatak chuka hai bahut mila na kuchh bhi use meri khamiyon ka suragh wo meri zat ki mitti phatak chuka hai bahut bata de manzil-e-maqsud ka nishan us ko ki apni rah se insan bhatak chuka hai bahut usul-e-mai-kashi 'masum' ko sikhaen na aap wo pi chuka hai bahut aur bahak chuka hai bahut