teri aamad ne sach har khwab-e-derina bana dala hamari anjuman ko bazm-e-khasana bana dala andheron se nikal kar raushni mein panw rakhte hi dikha kar aankh tum ne mujh ko begana bana dala bahut chaalak hai is daur ka majnun jo chupke se suna hai us ne sahra mein hi kashana bana dala kiya jab 'ahd tum se raaz-dari ka to phir main ne zaban kar li muqaffal dil ko tah-khana bana dala hukumat ne kiya jab mai-kade ka band darwaza to rindon ne hasin aankhon ko mai-khana bana dala shikasta dil ka kya karte so ek tarkib ye sujhi har ek tukde se main ne ek aaina bana dala mujhe kahne lage sab log diwana to zahir hai zamane-bhar ko main ne 'nazr' diwana bana dala