sanat na hogi taham kya chiz ho gae tum

sanat na hogi taham kya chiz ho gae tum
har shakhs se tawazo har baat par tabassum

dekho na mere dil ki taswir-e-paemali
apne se khud na nafrat karne lago kahin tum

jis din se tere dil tak pahunchin meri nigahen
yaksan hai mujh ko teri khamoshi-o-takallum

hai kis maqam par ab ulfat khuda hi jaane
hain wo bhi aaj chup-chup baithe hain hum bhi gum-sum

main soch mein tha chhodun kis tarah do-jahan ko
achchha hua ki mujh ko aise mein mil gae tum

'maikash' sa aadmi aur ulfat ki sakht rahen
har gam par hai laghzish har gam par tasadum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close