pate rahe ye faiz teri be-rukhi se hum goya ki dur hote rahe zindagi se hum gham daimi hai aur khushi aarzi si chiz is waste qarib nahin hain khushi se hum mahsus tum se mil ke hua hum ko pahli bar hain ham-kanar aaj mujassam khushi se hum ek daur tha likha tha mere dil pe tera nam hain aaj teri bazm mein ek ajnabi se hum jalne se aashiyan ke charaghan sa ho gaya mahrum ho chuke the nai raushni se hum hai zindagi ki sham nahin ham-nawa koi har samt dekhte hain ajab bekasi se hum takhrib-e-kaenat hai insan-dushmani 'sartaj' kah rahe hain ye har aadmi se hum