wahan pahunch ke har ek naqsh-e-gham paraya tha wo rasta ki jahan hausla bhi haara tha bahut aziz the us ko safar ke hangame wo sab ke sath chala tha magar akela tha wo zakhm zakhm tha tira-shabi ke daman mein labon pe phul nazar mein kiran bhi rakhta tha ajib shakhs tha us ko samajhna mushkil hai kinar-e-ab khada tha magar wo pyasa tha use khabar thi ki aashob-e-agahi kya hai wo dard-o-gham jise apni zaban mein kahta tha