patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai khud rah bana lega bahta hua pani hai ek zehn-e-pareshan mein khwab-e-ghazalistan hai patthar ki hifazat mein shishe ki jawani hai dil se jo chhate baadal to aankh mein sawan hai thahra hua dariya hai bahta hua pani hai ham-rang-e-dil-e-pur-khun har lala-e-sahrai gesu ki tarah muztar ab raat ki rani hai jis sang pe nazren kin khurshid-e-haqiqat hai jis chand se munh moda patthar ki kahani hai ai pir-e-khirad-mandan dil ki bhi zarurat hai ye shahr-e-ghazalan hai ye mulk-e-jawani hai gham wajh-e-figar-e-dil gham wajh-e-qarar-e-dil aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai is hausla-e-dil par hum ne bhi kafan pahna hans kar koi puchhega kya jaan ganwani hai din talkh haqaeq ke sahraon ka suraj hai shab gesu-e-afsana yaadon ki kahani hai wo husn jise hum ne ruswa kiya duniya mein nadida haqiqat hai na-gufta kahani hai wo misra-e-awara diwanon pe bhaari hai jis mein tere gesu ki be-rabt kahani hai hum khushbu-e-awara hum nur-e-pareshan hain ai 'badr' muqaddar mein aashufta-bayani hai