ye kis ke aansuon ne us naqsh ko mitaya jo mere lauh-e-dil par tu ne kabhi banaya tha dil jab us pe mail tha shauq sakht mushkil targhib ne use bhi aasan kar dikhaya ek gard-baad mein tu ojhal hua nazar se is dasht-e-be-samar se juz khak kuchh na paya ai chob-e-khushk-e-sahra wo baad-e-shauq kya thi meri tarah barahna jis ne tujhe banaya phir hum hain nim-shab hai andesha-e-abas hai wo wahima ki jis se tera yaqin aaya