pattharon par likha mitata hun is tarah main use bhulata hun jab bhi darti hai zindagi to use maut ke faede ginata hun wasl ka tajraba nahin hai mujhe hijr ki shaeri sunata hun dil mein ek maut roz hoti hai roz ek lash main uthata hun dard aaram dene lagta hai zakhm par zakhm jab lagata hun sans jati hai le ke dur mujhe sans aati hai laut aata hun pahle karta hun khud use naraaz aur phir der tak manata hun raqs karti hain gum-shuda yaaden aaj sab aaina bujhata hun jaanta hun ki dar khulega nahin be-sabab chabiyan ghumata hun