talluq tutne ka gham uthana bhi zaruri tha zaruri tum bhi the lekin zamana bhi zaruri tha teri aankhon ki bechaini meri zanjir thi lekin khadi thi rail-gadi aur jaana bhi zaruri tha mohabbat ka badal kuchh bhi agar hai to mohabbat hai gae the jis tarah waise hi aana bhi zaruri tha agar main farz tha to phir nibhaya kyon nahin tum ne agar main qarz tha to phir chukana bhi zaruri tha main kab tak raaz rakhta dil mein apni bewafai ka ye baat aa kar tumhein ek din batana bhi zaruri tha faza mein is tarah udta rahega mustaqil kab tak parinde ke liye ek aashiyana bhi zaruri tha