saffak sarab se ziyaada hai ishq azab se ziyaada maqtul ke chehre par chamak thi talwar ki aab se ziyaada main ahl-e-kitab ko hamesha padhta hun kitab se ziyaada kya rang dikhae hum jo chahen kante ko gulab se ziyaada utra wo ragon mein zahr jis mein nashsha hai sharab se ziyaada manus hain gham 'kamal' shayad mujh khana-kharab se ziyaada